मुनि श्री 108 प्रमाण सागर जी महाराज द्वारा रचित
हे प्रभु आपके चरणों में कोटि-कोटि नमोऽस्तु ! कोटि-कोटि वन्दन ! कोटि-कोटि आभार।
हे प्रभु! मुझे यह दुर्लभ मानव जीवन मिला, मुझे इतना समर्थ बना दो कि मैं स्वयं को दोषों और विकारों से मुक्त बना सकूँ।
हे प्रभु! मुझमें ऐसी शुद्धि भर दो कि मैं हर पल पवित्र रह सकूँ।
अपने मन की पवित्रता को बनाए रखने के लिए मैं बीते दिन की सभी बुरी स्मृतियों का परित्याग करता हूँ।
बीते दिन में मैंने मन से जो भी बुरा सोचा, वचनों से जो भी बुरा बोला, काय से जो भी बुरा किया उसका मुझे घोर पश्चाताप है। मैं उसकी निंदा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और उसका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु! मेरे द्वारा बुरा सोचने, बुरा बोलने और बुरा किया जाने से जो भी दोष लगा हो, जिस किसी को भी कष्ट पहुँचा हो, जिस किसी का भी दिल दुखा हो, उसके लिए मैं हृदय से क्षमा माँगता हूँ, अपनी ओर से सभी को क्षमा करता हूँ।
“सभी मेरे मित्र हैं मेरा मन पवित्र है”
हे प्रभु! मैं अपने मन की गांठों को खोलता हूँ और अपने द्वारा किए गए पापों की पवित्र हृदय से निंदा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और उनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु ! क्रोध-मान-माया-लोभ के आवेश में, प्रमाद से भरकर, मैंने जो भी पाप किए हैं उनका मुझे घोर पश्चाताप है मैं इनकी निंदा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और इनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु ! क्रोध के आवेश में मैंने न जाने कितनी बार औरों पर क्रोध किया, उनसे दुर्वचन कहे, दुर्व्यवहार किया, मन में क्रूर परिणाम किए, इन सबका मुझे घोर पश्चाताप है। मैं उनकी निन्दा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और इनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु! मान के वस होकर मैंने न जाने कितनी बार स्वयं की प्रशंसा की और दूसरों की निन्दा की, दूसरों को अपमानित किया, खुद को अपमानित महसूस किया, खुद की गलती होने पर भी सामनेवाले पर दोषारोपण किया, अपनी गलती को स्वीकारने में संकोच किया, इन सबका मुझे घोर पश्चाताप है, मैं इनकी निंदा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और इनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु! मैंने न जाने कितनी बार दूसरों से छल किया, धोखा किया, विश्वासघात किया, इन सबका मुझे घोर पश्चाताप है, मैं इनकी निंदा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और इनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु ! जड़ पदार्थों की प्रबल लालसा में, मैंने कई पापाचार किए, हिंसापूर्ण व्यवहार किया, छल-कपट किया, अनैतिक कार्य किए, मुझे इन सबका घोर पश्चाताप है, मैं इनकी निन्दा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और इनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु! वासना में अंधा होकर, मैंने माता बहनों को बुरी दृष्टि से देखा, मन में बुरे विचार प्रकट किए, बुरे दृश्यों को देखा, मुझे इन सबका घोर पश्चाताप है, मैं इनकी निन्दा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और इनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु! राग-द्वेष ईर्ष्या मात्सर्य के भाव वश औरों से द्वेषपूर्ण व्यवहार किया, उनका तिरस्कार किया, दूसरों को नीचा दिखाने की कोशिश की, उनकी प्रगति में अवरोध किया, अपने मन में प्रतिस्पर्धा के भाव जगाए, मुझे इन सबका घोर पश्चाताप है, मैं इनकी निन्दा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और इनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु ! बीते दिन में मैंने तरह-तरह से अपने मन की शुचिता में, निर्मलता में, दूषण लगाए मुझे उन कृत्यों का घोर पश्चाताप है, मैं इनकी निन्दा करता हूँ, आलोचना करता हूँ और इनका परित्याग करता हूँ।
हे प्रभु! मुझमें इतना संतोष जगा दो कि मैं लोभ लालच और लिप्सा के भावों से अप्रभावित रह सकूँ ।
हे प्रभु! मुझमें इतनी शांति भर दो कि मैं हरपल शांत रह सकूँ।
हे प्रभु! मुझे ऐसी दृष्टि दे दो कि मैं सदा दयावान् रहूँ, क्षमावान रहूँ।
हे प्रभु! मैं सदा विनम्र बनूँ ।
हे प्रभु! मुझमें ऐसी समझ जगा दो कि मैं अपनी मर्यादा में रह सकूँ, मैं मर्यादित रहूँ, व्यसन मुक्त रहूँ, मुझमें सदाचार हो, धर्म निष्ठा हो।
हे प्रभु! मैं कर्मठ और कर्त्तव्यनिष्ठ बनूँ, मैं सम्यग्दृष्टि बनूँ ।
मुझे शान्त रहना है
मुझे सहज रहना है
मुझे संयम रखना है
मुझे सकारात्मक रहना है
आत्म चिन्तन
स्वस्थोऽहं
शान्तोऽहं
पूर्णोऽहं
बुद्धोऽहं
शुद्धोऽहं
सोऽहं
Munishri 108 Praman Sagar Ji Maharaj dwara rachit Bhavana Yoga par aadharit Abhinav Pratikraman Paath
Hey Prabhu! Aapke charanon mein koti-koti namostu! Koti-koti vandan! Koti-koti aabhaar.
Hey Prabhu! Mujhe yeh durlabh maanav jeevan mila, mujhe itna samarth bana do ki main swayam ko doshon aur vikaaron se mukt bana sakoon.
Hey Prabhu! Mujhmein aisi shuddhi bhar do ki main har pal pavitra reh sakoon.
Apne man ki pavitrata ko banaaye rakhne ke liye main beete din ki sabhi buri smritiyon ka parityaag karta hoon.
Beete din mein maine man se jo bhi bura socha, vachanon se jo bhi bura bola, kaaya se jo bhi bura kiya, uska mujhe ghor pashchaataap hai. Main uski ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur uska parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Mere dwaara bura sochne, bura bolne aur bura kiye jaane se jo bhi dosh laga ho, jis kisi ko bhi kasht pahuncha ho, jis kisi ka bhi dil dukha ho, uske liye main hriday se kshama maangta hoon, apni or se sabhi ko kshama karta hoon.
“Sabhi mere mitra hain, mera man pavitra hai.”
Hey Prabhu! Main apne man ki gaanthon ko kholta hoon aur apne dwaara kiye gaye paapon ki pavitra hriday se ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur unka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Krodh-maan-maaya-lobh ke aavesh mein, pramaad se bhar kar, maine jo bhi paap kiye hain, unka mujhe ghor pashchaataap hai. Main inki ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur inka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Krodh ke aavesh mein maine na jaane kitni baar auron par krodh kiya, unse durvachan kahe, durvyavahaar kiya, man mein kroor parinaam kiye. In sabka mujhe ghor pashchaataap hai. Main unki ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur inka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Maan ke vash hokar maine na jaane kitni baar swayam ki prashansa ki aur doosron ki ninda ki, doosron ko apmaanit kiya, khud ko apmaanit mehsoos kiya, khud ki galti hone par bhi saamne waale par doshaaropan kiya, apni galti ko sweekaarne mein sankoch kiya. In sabka mujhe ghor pashchaataap hai. Main inki ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur inka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Maine na jaane kitni baar doosron se chhal kiya, dhokha kiya, vishwasghaat kiya. In sabka mujhe ghor pashchaataap hai. Main inki ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur inka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Jad padaarthon ki prabal laalsa mein, maine kai paapaachaar kiye, hinsaapoorn vyavahaar kiya, chhal-kapat kiya, anaitik kaarya kiye. Mujhe in sabka ghor pashchaataap hai. Main inki ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur inka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Vaasana mein andha hokar, maine maata-behnon ko buri drishti se dekha, man mein bure vichaar prakat kiye, bure drishyon ko dekha. Mujhe in sabka ghor pashchaataap hai. Main inki ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur inka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Raag-dwesh, irshya, maatsarya ke bhaav vash auron se dweshpoorn vyavahaar kiya, unka tiraskaar kiya, doosron ko neecha dikhaane ki koshish ki, unki pragati mein avarodh kiya, apne man mein pratispardha ke bhaav jagaaye. Mujhe in sabka ghor pashchaataap hai. Main inki ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur inka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Beete din mein maine tarah-tarah se apne man ki shuchita mein, nirmalta mein dooshhan lagaaye. Mujhe un kritiyon ka ghor pashchaataap hai. Main inki ninda karta hoon, aalochana karta hoon aur inka parityaag karta hoon.
Hey Prabhu! Mujhmein itna santosh jaga do ki main lobh, laalach aur lipsa ke bhaavon se aprabhaavit reh sakoon.
Hey Prabhu! Mujhmein itni shaanti bhar do ki main har pal shaant reh sakoon.
Hey Prabhu! Mujhe aisi drishti de do ki main sada dayaavaan rahoon, kshamaavaan rahoon.
Hey Prabhu! Main sada vinamra banoon.
Hey Prabhu! Mujhmein aisi samajh jaga do ki main apni maryaada mein reh sakoon, main maryaadit rahoon, vyasan-mukt rahoon, mujhmein sadaachaar ho, dharma-nishtha ho.
Hey Prabhu! Main karmath aur kartavya-nishth banoon, main samyagdrishti banoon.
Mujhe shaant rehna hai.
Mujhe sahaj rehna hai.
Mujhe sanyam rakhna hai.
Mujhe sakaaraatmak rehna hai.
Swastho’ham.
Shaanto’ham.
Poorno’ham.
Buddho’ham.
Shuddho’ham.
So’ham.
Composed by Muni Shri 108 Praman Sagar Ji Maharaj
O Lord! At Your holy feet, I offer millions of salutations, millions of reverential bows, and millions of heartfelt thanks.
O Lord! I have been blessed with this rare human birth. Grant me the strength and wisdom to free myself from all faults, flaws, and inner impurities.
O Lord! Fill me with such purity that I may remain pure and virtuous at every moment.
To preserve the purity of my mind, I renounce all the negative memories of the past day.
Whatever wrong I may have thought through my mind, spoken through my words, or done through my body during the past day, I deeply repent for it. I condemn those actions, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! For every fault I may have incurred through wrong thoughts, harsh words, or improper actions; for every pain I may have caused, and every heart I may have hurt, I sincerely seek forgiveness from the depths of my heart. I also forgive everyone, wholeheartedly, from my side.
“Everyone is my friend; my mind is pure.”
O Lord! I untie the knots within my mind. With a pure heart, I condemn, reflect upon, and renounce the sins committed by me.
O Lord! Whatever sins I may have committed under the influence of anger, pride, deceit, and greed, or in a state of carelessness and heedlessness, I deeply repent for them. I condemn these actions, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! In a fit of anger, countless times I may have become furious with others, spoken harshly to them, behaved improperly, or harboured cruel thoughts in my mind. I deeply repent for all these actions. I condemn them, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! Under the influence of pride, countless times I may have praised myself, criticised others, humiliated others, or felt humiliated myself. Even when I was at fault, I may have blamed others and hesitated to accept my own mistakes. I deeply repent for all these actions. I condemn them, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! Countless times I may have deceived others, cheated them, or betrayed their trust. I deeply repent for all these actions. I condemn them, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! Driven by an intense craving for material possessions, I may have committed many wrongful acts, engaged in violence, practised deceit and dishonesty, or acted immorally. I deeply repent for all these actions. I condemn them, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! Blinded by lust and sensual desires, I may have looked at women, including mothers and sisters, with impure intentions, entertained unwholesome thoughts, or viewed inappropriate scenes. I deeply repent for all these actions. I condemn them, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! Under the influence of attachment, aversion, jealousy, and envy, I may have behaved with hostility towards others, disrespected them, tried to belittle them, obstructed their progress, or allowed feelings of unhealthy competition to arise within my mind. I deeply repent for all these actions. I condemn them, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! In countless ways, during the past day, I may have tarnished the purity, sanctity, and clarity of my mind. I deeply repent for all such actions. I condemn them, sincerely reflect upon them, and renounce them.
O Lord! Awaken within me such a deep sense of contentment that I remain unaffected by greed, craving, and insatiable desires.
O Lord! Fill me with such inner peace that I may remain peaceful at every moment.
O Lord! Bless me with such a vision that I may always be compassionate and forgiving.
O Lord! May I always remain humble.
O Lord! Awaken such wisdom within me that I may always remain within the bounds of propriety, live a disciplined life, remain free from addictions, practise righteous conduct, and stay steadfast in Dharma.
O Lord! May I be diligent and devoted to my duties. May I attain Samyak Darshan (Right Faith).
I must remain peaceful.
I must remain natural and सहज (at ease).
I must practise self-restraint.
I must remain positive.
स्वस्थोऽहं — I am centred in my true Self.
शान्तोऽहं — I am peaceful.
पूर्णोऽहं — I am complete.
बुद्धोऽहं — I am enlightened and awakened.
शुद्धोऽहं — I am pure.
सोऽहं — I am That; I am the Self.
Pratikraman based on Bhavana Yog भावना योग पर आधारित प्रतिक्रमण .pdf
It is shared under commonly accepted Fair Use guidelines, intended for individual Practitioner , educational or research purposes for more detail visit FAIR USE DECLARATION